Rhymes

Durgamayee


Jhool jhool ke aayi Jhulan,
Cricket ke maidan ki hai woh Phoolan;

uski geindein cheerein pratidwandion ka seena,
Uske karnaamon se prayrit huyee hain nayee peedhi ki Salma aaur Meena;

Punam ki ballebaazi hai poornima ka chaand,
Uske balle se nikle runon ke baadh ne tod diye saare baandh;

Veda mein basa hai Vedon ka gyaan,
dushman dher ho jaate hain jaise hee tyage uski talwaar apna myaan;

Thar thar kaampe saare pratiyogi,
jab Harmapreet banein karmyogi;

Deepti hain prativa ka khadaan,
Karti hain runon aaur wikton ki sougat apne Kaptaan ko Pradaan;

Shikha ke kandhon par hai aakanshaon ka bhaar,
Hamein vishwaas hai woh karegi iss aag ke dariye ko paar;

Ek raani hai jo karti hain vishwa cricket pe Raj,
Kya Mithali protsahit kar payengi sabko aaur jeet payengi Sartaj?